11.8.11

Poetry of life and desire

Kabhi dekhta, kabhi chipata hoon,
tere tasveer ko
Dara dara sa hoon
kaheen phir koi tamana na machal jaye


kaisi kitab hai ye teri aankhein
Har vark me tujh se mohabbat ho jata hai

Kaise nazuk se hain tere ye hoth
Har Kaliyan tujh sa hona chahti hai
......
kaisa gulfam sa hai tera ye badan
Smundar ki lahre bhi rask karkti hai

kaisi chanchal si hai teri awaaz
koyal bhi aisi mithas ko tarasti hai

Main to bus teri baat karta hoon
Duniya mujhe shayar kahti hai


Jise khayalt ki kahani samjhte hai log
us duniya mein main roj jeeta hoon

Fark itna hai main darya ke ispar
Wo dariya ke uspar rahti hai


Sajote sapne ham dono hai
Vo falak pe tairti hai
main zameen pe rengta hoon


Sadma-e-zindagi ki aadat daal le nabeel
Gar jo hauslon ko parwaz dete ho


khawabon ke pankh ki quvat hi keya
aaj yahan phir kal na jane kiski bari



Rafta rafta main jeene laga hoon
aajkal tera chehra
main har jaam mein dekhne laga hoon


tera aitraz mukamal kardun
parwaz le kar abhi
jo tum ek bar mushkura ke kahdo
ba khuda meri sanse bas isi ki muntazir hai




Mohabbat Karne walon
Is ehshas to gham ke chadar mein dhako
Ye to vo chirag hai jalta dilon mein hai
Chamak mahfilon mein hoti hai


Aaj phir main khayalon ki barish mein bhig raha hoon,
door door talak koi haqiqat ka aaftab naheen
mujhe bacha lo ke main kaheen gafil na ho jaon







1 comment: