Zindagi ki gadi har pal dorahe pe khari milti
kabhi soch ki dhar mein to kabhi vastaviktakta
har pal mein asmanjas rahta hai kis path jaon,
keyon ki harpath mein sawatah rahti hai
chiipi chhoti choti antheen path
main apni dhairye ko kabhi sanjota, kabhi khota
kabhi agayat se, to kabhi hirdye ki dhara ko sun
anjaan path pe chalta parta hoon
na koi aadesh hai na hi koi nirdesh
kabhi thak ke rukta bhi hoon
Phir uthkar bhatakta hooon
Na kam hoti hai chalne ki karnein
usko pane ko chalta hoon jise na dekha hi, na suna hi
unche, niche, smatal, sapat sab path dekha par
abhi tak mujhe apna path naheen dikhta hain
main keyon itna kamjor aur alp drishti rakhta hoon
Mujhe koi dikhajaye, bata jaye,
mere marg in antheen pathon mein
मेरे हिसाब से यही उलझन जीवन है। कभी कभी मुझे लगता है कि जीवन मकड़े की जाल है, आपकी पंक्तियों से भी यही आभास हो रहा है।
ReplyDelete