7.2.12

Mera Man



har shaakh,, shaakh pe ghumta hai mera chidya man
na jane kis dal pe banayega ghosla ye mera man

Kabhi phool ki lali to kabhi patte ki hariyali
kahan kahan na bhataka hai mera man

kabhi tahniyon ki uchai, to kabhi falon ki mithas
 har pal badlta hai mashooq ye be iman man

Fatur ka bana hamsafar, fitne se yaari kar
mujhse hi kar raha gaddari ye mera man


No comments:

Post a Comment